Na jiyaa laage na tere binaa meraa kaheen, jiyaa laage na

न जिया लागे न तेरे बिना मेरा कहीं, जिया लागे न
Work
Year
Language

ना, जिया लागे ना
तेरे बिना, मेरा कहीं, जिया लागे ना
ना, जिया लागे ना

(तुम अगर जाओ कभी जाओ कहीं
वक़्त से कहना ज़रा, वो ठहर जाये वहीं ) - 2
वो घड़ी - 2, वहीं रुके ना जाये ना
ना, जिया लागे ना …

(जीना भूले थे कहाँ याद नहीं
तुझको पाया है जहाँ, साँस फिर आई वहीं ) - 2
ज़िंदगी - 2, तेरे बिना हाय, भाये ना
ना, जिया लागे ना …

nā, jiyā lāge nā
tere binā, merā kahīṅ, jiyā lāge nā
nā, jiyā lāge nā

(tum agar jāo kabhī jāo kahīṅ
vaqt se kahnā zarā, vo ṭhahar jāye vahīṅ ) - 2
vo ghaṛī - 2, vahīṅ ruke nā jāye nā
nā, jiyā lāge nā …

(jīnā bhūle the kahāṇ yād nahīṅ
tujhko pāyā hai jahāṇ, sāṇs phir āī vahīṅ ) - 2
ziṅdgī - 2, tere binā hāy, bhāye nā
nā, jiyā lāge nā …