Na jaao saiyaan, chhuraa ke baiyaan

न जाओ सैयाँ, छुड़ा के बैयाँ
Year
Language

न जाओ सैयाँ, छुड़ा के बैयाँ
कसम तुम्हारी मैं रो पड़ूँगी
मचल रहा है सुहाग मेरा
जो तुम ना होंगे, तो क्या करूँगी

ये बिखरी जुल्फें, ये खिलता गजरा
ये महकी चुनरी, ये मन की मदीरा
ये सब तुम्हारे लिए है प्रीतम
मैं आज तुम को ना जाने दूँगी, जाने ना दूँगी

मैं तुम्हारी दासी, जनम की प्यासी
तुम ही हो मेरा सिंगार प्रीतम
तुम्हारे रस्ते की धूल ले कर
मैं माँग अपनी सदा भरूँगी, सदा भरूँगी

जो मुझ से अखियाँ चुरा रहे हो
तो मेरी इतनी अर्ज भी सुन लो
तुम्हारे चरणों में आ गई हूँ
यहीं जिऊँगी, यहीं मरूँगी, यहीं मरूँगी

na jāo saiyāṇ, chhuṛā ke baiyāṇ
kasam tumhārī maiṅ ro paṛūṇgī
machal rahā hai suhāg merā
jo tum nā hoṅge, to kyā karūṇgī

ye bikhrī julpheṅ, ye khiltā gajrā
ye mahkī chunrī, ye man kī madīrā
ye sab tumhāre lie hai prītam
maiṅ āj tum ko nā jāne dūṇgī, jāne nā dūṇgī

maiṅ tumhārī dāsī, janam kī pyāsī
tum hī ho merā siṅgār prītam
tumhāre raste kī dhūl le kar
maiṅ māṇg apnī sadā bharūṇgī, sadā bharūṇgī

jo mujh se akhiyāṇ churā rahe ho
to merī itnī arj bhī sun lo
tumhāre charṇoṅ meṅ ā gaī hūṇ
yahīṅ jiūṇgī, yahīṅ marūṇgī, yahīṅ marūṇgī