न जाने कैसी बुरी घड़ी में ... अर्थी नहीं नारी का
न जाने कैसी बुरी घड़ी में दुल्हन बनी एक अभागन
पिया की अर्थी लेकर चली होने सती सुहागन
अर्थी नहीं नारी का सुहाग जा रहा है
भगवान तेरे घर का सिंगार जा रहा है
बजता था जीवन का गीत दो साँसों के तारों में
टूटा है जिसका तार वो सितार जा रहा है
भगवान तेरे घर का …
जलता था जब तक जलती रही चिंगारी
बुझने को अब तन का अंगार जा रहा है
भगवान तेरे घर का …
भव सागर की लहरों में बिछड़े ऐसे दो साथी
सजनी मँझधार साजन उस पार जा रहा है
भगवान तेरे घर का …
na jāne kaisī burī ghaṛī meṅ dulhan banī ek abhāgan
piyā kī arthī lekar chalī hone satī suhāgan
arthī nahīṅ nārī kā suhāg jā rahā hai
bhagvān tere ghar kā siṅgār jā rahā hai
bajtā thā jīvan kā gīt do sāṇsoṅ ke tāroṅ meṅ
ṭūṭā hai jiskā tār vo sitār jā rahā hai
bhagvān tere ghar kā …
jaltā thā jab tak jaltī rahī chiṅgārī
bujhne ko ab tan kā aṅgār jā rahā hai
bhagvān tere ghar kā …
bhav sāgar kī lahroṅ meṅ bichhaṛe aise do sāthī
sajnī mṇjhdhār sājan us pār jā rahā hai
bhagvān tere ghar kā …