Muskuraao ki jee naheen lagtaa

मुस्कुराओ कि जी नहीं लगता
Work
Year
Language

मुस्कुराओ कि जी नहिं लगता
पास आओ कि जी नहीं लगता
मुस्कुराओ कि जी नहिं लगता

ये खमोशी ये बेज़ुबानी क्‌यों
छेड़ न दे कोई कहानी क्‌यों
गुनगुनाओ कि जी नहीं लगता
मुस्कुराओ कि जी नहिं लगता

पास हो तुम, है फिर भी तनहाई
क्‌या नहीं प्यार की ये रुसवाई
कुछ सुनाओ कि जी नहीं लगता
मुस्कुराओ कि जी नहीं लगता

रात का हुस्न भी ज़रा देखो
चाँदनी कह रही है क्‌या देखो
मान जाओ कि जी नहीं लगता
मुस्कुराओ कि जी नहिं लगता
पास आओ के जी नहीं लगता
मुस्कुराओ के जी नहिं लगता

muskurāo ki jī nahiṅ lagtā
pās āo ki jī nahīṅ lagtā
muskurāo ki jī nahiṅ lagtā

ye khamośhī ye bezubānī k‌yoṅ
chheṛ na de koī kahānī k‌yoṅ
gungunāo ki jī nahīṅ lagtā
muskurāo ki jī nahiṅ lagtā

pās ho tum, hai phir bhī tanhāī
k‌yā nahīṅ pyār kī ye rusvāī
kuchh sunāo ki jī nahīṅ lagtā
muskurāo ki jī nahīṅ lagtā

rāt kā husn bhī zarā dekho
chāṇdnī kah rahī hai k‌yā dekho
mān jāo ki jī nahīṅ lagtā
muskurāo ki jī nahiṅ lagtā
pās āo ke jī nahīṅ lagtā
muskurāo ke jī nahiṅ lagtā