Mur-mur hamko dekhtaa ... jab-jab mausam jhoomtaa

मुड़-मुड़ हमको देखता ... जब-जब मौसम झूमता
Work
Year
Language

आ: मुड़-मुड़ हमको देखता
छुप-छुप नज़रें फेंकता
सैंया अनजाना
कि: जब-जब मौसम झूमता
रह-रह के किसी को ढूँढता
दिल ये दीवाना
आ: आ आ मुड़-मुड़ हमको …

आँख तो सब कुछ कहती है
बात छुपी रहती है
पा के इशारा मौजों का
नाव हमेशा बहती है
( हौले रे हौले दिल मेरा डोले
तेरे सहारे जी ) -2
कि: जब-जब मौसम …

दिल जो मेरा लहराता है
प्यार किसी का गाता है
डाल के आँखें आँखों में
हाय कोई मुस्काता है
( हमको बुलाएँ किसकी अदाएँ
किसके इशारे जी ) -2
आ: मुड़-मुड़ हमको …

ā: muṛ-muṛ hamko dekhtā
chhup-chhup nazreṅ pheṅktā
saiṅyā anjānā
ki: jab-jab mausam jhūmtā
rah-rah ke kisī ko ḍhūṇḍhtā
dil ye dīvānā
ā: ā ā muṛ-muṛ hamko …

āṇkh to sab kuchh kahtī hai
bāt chhupī rahtī hai
pā ke iśhārā maujoṅ kā
nāv hameśhā bahtī hai
( haule re haule dil merā ḍole
tere sahāre jī ) -2
ki: jab-jab mausam …

dil jo merā lahrātā hai
pyār kisī kā gātā hai
ḍāl ke āṇkheṅ āṇkhoṅ meṅ
hāy koī muskātā hai
( hamko bulāeṇ kiskī adāeṇ
kiske iśhāre jī ) -2
ā: muṛ-muṛ hamko …