Munnaa baraa pyaaraa, ammee kaa dulaaraa

मुन्ना बड़ा प्यारा, अम्मी का दुलारा
Work
Year
Language

मुन्ना बड़ा प्यारा, अम्मी का दुलारा
कोई कहे चाँद, कोई आँख का तारा
हँसे तो भला लगे, रोये तो भला लगे
अम्मी को उसके बिना, कुछ भी अच्छा न लगे
जियो मेरे लाल, जियो मेरे लाल
तुमको लगे मेरी उमर जियो मेरे लाल
एक दिन वो माँ से बोला, क्यों फूँकती है चूल्हा
क्यों ना रोटीयों का पेड़ हम लगा ले
आम तोड़े रोटी तोड़े, रोटी आम खा ले
काहे कले लोज लोज तू ये झमेला
अम्मी को आई हँसी, हँसके वो कहने लगी
लाल मेहनत के बिना, रोटी किस घर में पकी
जियो मेरे लाल, जियो मेरे लाल
तुमको लगे मेरी उमर जियो मेरे लाल
एक दिन यूँ छुपा मुन्ना, ढूंढें न मिला मुन्ना
बिस्तर के नीचे, कुर्सियों के पीछे
देखा कोना कोना सब थे सांस खांचे
कहाँ गया, कैसे गया सब थे परेशान
सारा जग ढूँढ थके, कहीं मुन्ना न मिला
मिला तो प्यार भरी माँ की आँखों में मिला
जियो मेरे लाल, जियो मेरे लाल
तुमको लगे मेरी उमर जियो मेरे लाल

munnā baṛā pyārā, ammī kā dulārā
koī kahe chāṇd, koī āṇkh kā tārā
hṇse to bhalā lage, roye to bhalā lage
ammī ko uske binā, kuchh bhī achchhā na lage
jiyo mere lāl, jiyo mere lāl
tumko lage merī umar jiyo mere lāl
ek din vo māṇ se bolā, kyoṅ phūṇktī hai chūlhā
kyoṅ nā roṭīyoṅ kā peṛ ham lagā le
ām toṛe roṭī toṛe, roṭī ām khā le
kāhe kale loj loj tū ye jhamelā
ammī ko āī hṇsī, hṇske vo kahne lagī
lāl mehnat ke binā, roṭī kis ghar meṅ pakī
jiyo mere lāl, jiyo mere lāl
tumko lage merī umar jiyo mere lāl
ek din yūṇ chhupā munnā, ḍhūṅḍheṅ na milā munnā
bistar ke nīche, kursiyoṅ ke pīchhe
dekhā konā konā sab the sāṅs khāṅche
kahāṇ gayā, kaise gayā sab the pareśhān
sārā jag ḍhūṇḍh thake, kahīṅ munnā na milā
milā to pyār bharī māṇ kī āṇkhoṅ meṅ milā
jiyo mere lāl, jiyo mere lāl
tumko lage merī umar jiyo mere lāl