Munh se mat lagaa cheez hai buree

मुँह से मत लगा चीज़ है बुरी
Year
Language

म: मुँह से मत लगा चीज़ है बुरी
देख बच ज़रा चीज़ है बुरी
छोड़ दे ये मैकशी
हमनशीं मेरे हमनशीं

र: बात मत बढ़ा छोड़ दिल्लगी
होश कर ज़रा छोड़ दिल्लगी
झूठ बोलता है तू ( मैने पी नहीं ) -2
दो: त रा रा रा रू

म: देगी यह दगा फूँक देगी घर
मुझसे ना सही पर ख़ुदा से डर
गुनहगार है जो पी ले आदमी
मुँह से मत लगा …

र: अपनी राह ले मुझसे मत झगड़
तोड़ दूँगा दिल मुझसे मत अकड़
अरे खाली-पीली छेड़ भी है याद रख बुरी
बात मत बढ़ा …

म: देख सामने हवलदार है
गर पकड़ लिया बेड़ा पार है
जेल में कटेगी फिर तो सारी ज़िन्दगी
मुँह से मत लगा …

र: जानता हूँ मैं पहरेदार है
बचपने का ये अपना यार है
डरने वाला मैं नहीं आए कोई भी
बात मत बढ़ा …

ma: muṇh se mat lagā chīz hai burī
dekh bach zarā chīz hai burī
chhoṛ de ye maikśhī
hamanśhīṅ mere hamanśhīṅ

ra: bāt mat baṛhā chhoṛ dillgī
hośh kar zarā chhoṛ dillgī
jhūṭh boltā hai tū ( maine pī nahīṅ ) -2
do: ta rā rā rā rū

ma: degī yah dagā phūṇk degī ghar
mujhse nā sahī par khudā se ḍar
gunahgār hai jo pī le ādmī
muṇh se mat lagā …

ra: apnī rāh le mujhse mat jhagaṛ
toṛ dūṇgā dil mujhse mat akaṛ
are khālī-pīlī chheṛ bhī hai yād rakh burī
bāt mat baṛhā …

ma: dekh sāmne havaldār hai
gar pakaṛ liyā beṛā pār hai
jel meṅ kaṭegī phir to sārī zindgī
muṇh se mat lagā …

ra: jāntā hūṇ maiṅ pahredār hai
bachapne kā ye apnā yār hai
ḍarne vālā maiṅ nahīṅ āe koī bhī
bāt mat baṛhā …