Mukhtasar mulaaqaat hai, anakhee koee baat hai

मुख़्तसर मुलाक़ात है, अनकही कोई बात है
Year
Language

मुख़्तसर मुलाक़ात है, अनकही कोई बात है
फिर रात की शैतानियाँ, या अलग, ये जजबात है
मौसम ये कहता है, भीगे अंधेरों में
डुबकी लगाते है ना
पर मुझको लगता है, मैं रोक लूँ खुद को
एहसास है ये नया
क्या हुआ, मैं हूँ बेखबर
है नया सा, सुहाना असर
जीत है या मात है
ये तो सुना था, के कुछ ऐसा होता है
पर मुझको भी हो गया
मेरी तो दुनिया बिलकुल अलग थी
अंदाज़ वो खो गया
देखना, डूबना हो गया
डूबना, तैरना हो गया
क्या असर मेरे साथ है

mukhtasar mulāqāt hai, anakhī koī bāt hai
phir rāt kī śhaitāniyāṇ, yā alag, ye jajbāt hai
mausam ye kahtā hai, bhīge aṅdheroṅ meṅ
ḍubkī lagāte hai nā
par mujhko lagtā hai, maiṅ rok lūṇ khud ko
ehsās hai ye nayā
kyā huā, maiṅ hūṇ bekhabar
hai nayā sā, suhānā asar
jīt hai yā māt hai
ye to sunā thā, ke kuchh aisā hotā hai
par mujhko bhī ho gayā
merī to duniyā bilkul alag thī
aṅdāz vo kho gayā
dekhnā, ḍūbnā ho gayā
ḍūbnā, tairnā ho gayā
kyā asar mere sāth hai