Mukharaa teraa saaf naheen ... jaisaa kiyaa hai toone

मुखड़ा तेरा साफ़ नहीं ... जैसा किया है तूने
Work
Year
Language

मुखड़ा तेरा साफ़ नहीं तो दर्पण को क्‌यों धोए
अपने आपको धोखा देकर ओ पगले क्‌यों रोए

जैसा किया है तूने वैसा ही तू भरेगा
तेरी बदी का बदला तुझको यहीं मिलेगा
जैसा किया है तूने …

ख़ुश हो रहा था कितना औरों को तू रुला के
झूठे नशे में अपना मग़रूर सर उठा के
सोचा न वक़्त ऐसा तुझ पर ही आ पड़ेगा
जैसा किया है तूने …

तोड़ा किसी का दिल तो कुछ ना मलाल आया
जब अपने तन पे खाई फिर क्‌यों ख़्याल आया
तेरा किया कराया तेरे साथ ही चलेगा
तेरी बदी का बदला …

mukhaṛā terā sāf nahīṅ to darpaṇ ko k‌yoṅ dhoe
apne āpko dhokhā dekar o pagle k‌yoṅ roe

jaisā kiyā hai tūne vaisā hī tū bharegā
terī badī kā badlā tujhko yahīṅ milegā
jaisā kiyā hai tūne …

khuśh ho rahā thā kitnā auroṅ ko tū rulā ke
jhūṭhe naśhe meṅ apnā maġhrūr sar uṭhā ke
sochā na vaqt aisā tujh par hī ā paṛegā
jaisā kiyā hai tūne …

toṛā kisī kā dil to kuchh nā malāl āyā
jab apne tan pe khāī phir k‌yoṅ khyāl āyā
terā kiyā karāyā tere sāth hī chalegā
terī badī kā badlā …