Mujhe maaf kar ai dilrubaa main shikaar hoon haalaat kaa

मुझे माफ़ कर ऐ दिलरुबा मैं शिकार हूँ हालात का
Year
Language

मुझे माफ़ कर ऐ दिलरुबा
मैं शिकार हूँ हालात का
तू है सुबह की रौशनी
मैं हूँ अंधेरा रात का

(पर कट चुके हों जिस के वो
पंची कभी उड़ता नहीं) - 2
टूट जाता है जो दिल
वो दिल कभी जुड़ता नहीं
है ख़बर मुझे तेरे प्यार की
है पता तेरे जज़बात का
मुझे माफ़ कर …

(नाकाम सी ये ज़िंदगी
बस नाम की है ज़िंदगी) - 2
जो तेरे काम न आ सकी
किस काम की है ज़िंदगी
मुझसे न देखा जाये है
जलना तेरा दिन रात का
मुझे माफ़ कर …

(तुझसे जुदा होने का ग़म
सह न सकूँगा तेरी क़सम) - 2
आते ही वो ज़ालिम घड़ी
मेरा निकल जायेगा दम
बस आख़िरी होगा वो दिन
मेरी नामुराद हयात का
मुझे माफ़ कर …

mujhe māf kar ai dilrubā
maiṅ śhikār hūṇ hālāt kā
tū hai subah kī rauśhnī
maiṅ hūṇ aṅdherā rāt kā

(par kaṭ chuke hoṅ jis ke vo
paṅchī kabhī uṛtā nahīṅ) - 2
ṭūṭ jātā hai jo dil
vo dil kabhī juṛtā nahīṅ
hai khabar mujhe tere pyār kī
hai patā tere jazbāt kā
mujhe māf kar …

(nākām sī ye ziṅdgī
bas nām kī hai ziṅdgī) - 2
jo tere kām na ā sakī
kis kām kī hai ziṅdgī
mujhse na dekhā jāye hai
jalnā terā din rāt kā
mujhe māf kar …

(tujhse judā hone kā ġham
sah na sakūṇgā terī qasam) - 2
āte hī vo zālim ghaṛī
merā nikal jāyegā dam
bas ākhirī hogā vo din
merī nāmurād hayāt kā
mujhe māf kar …