Mujhe kitnaa pyaar hai tumse, apne hee dil se poochho tum

मुझे कितना प्यार है तुमसे, अपने ही दिल से पूछो तुम
Year
Language

मुझे कितना प्यार है तुम से, अपने ही दिल से पूछो तुम
जिसे दिल दिया है वो तुम हो, मेरी जिंदगी तुम्हारी है

चाहत ने तेरी मुझ को कुछ इस तरह से घेरा
दिन को हैं तेरे चर्चे, रातों को ख्वाब तेरा
तुम हो जहाँ वही पर, रहता है दिल भी मेरा
बस एक ख़याल तेरा, क्या शाम क्या सवेरा

ये दुनिया कैसे बदली, कुछ भी समझ ना आये
क्यो कर हुये वो अपने, कल तक थे जो पराये
दिल की लगन हो सच्ची, फिर क्यो ना रंग लाये
मेरे थे तुम सदा से, पर अब करीब आये

मेरी वफ़ा को अब तो, तुम आजमाना छोड़ो
दिल को चुरा के मेरे, आँखे चुराना छोड़ो
मुझ को बना के अपना, बाते बनाना छोड़ो
मैं कब ना थी तुम्हारी, लेकिन सताना छोड़ो

mujhe kitnā pyār hai tum se, apne hī dil se pūchho tum
jise dil diyā hai vo tum ho, merī jiṅdgī tumhārī hai

chāhat ne terī mujh ko kuchh is tarah se gherā
din ko haiṅ tere charche, rātoṅ ko khvāb terā
tum ho jahāṇ vahī par, rahtā hai dil bhī merā
bas ek khayāl terā, kyā śhām kyā saverā

ye duniyā kaise badlī, kuchh bhī samajh nā āye
kyo kar huye vo apne, kal tak the jo parāye
dil kī lagan ho sachchī, phir kyo nā raṅg lāye
mere the tum sadā se, par ab karīb āye

merī vafā ko ab to, tum ājmānā chhoṛo
dil ko churā ke mere, āṇkhe churānā chhoṛo
mujh ko banā ke apnā, bāte banānā chhoṛo
maiṅ kab nā thī tumhārī, lekin satānā chhoṛo