Mujh men too, too hee too basaa

मुझ में तू, तू ही तू बसा
Year
Language

मुझ में तू, तू ही तू बसा
नैनों में जैसे ख़्वाब सा
जो तू ना हो तो पानी पानी नैना
जो तू ना हो तो मैं भी हूँगा मैं ना
तुझ ही से मुझे सब अता
इश्क आशिकी में, कुछ लोग छाँटता है
ज़ख्म बांटता है, उन्हें दर्द बाँटता है
तोड़ देता है ख़्वाब सारे देखते देखते
कर दे बर्बाद सा
जो तू ना हो तो ...
सफर दो कदम है, जिसे इश्क लोग कहते
मगर इश्कवाले, सब सफर में ही रहते
खत्म होता न उम्र भर ही, इश्क का रास्ता
है ये बेहिसाब सा
जो तू न हो तो ...

mujh meṅ tū, tū hī tū basā
nainoṅ meṅ jaise khvāb sā
jo tū nā ho to pānī pānī nainā
jo tū nā ho to maiṅ bhī hūṇgā maiṅ nā
tujh hī se mujhe sab atā
iśhk āśhikī meṅ, kuchh log chhāṇṭtā hai
zakhm bāṅṭtā hai, unheṅ dard bāṇṭtā hai
toṛ detā hai khvāb sāre dekhte dekhte
kar de barbād sā
jo tū nā ho to ...
saphar do kadam hai, jise iśhk log kahte
magar iśhkvāle, sab saphar meṅ hī rahte
khatm hotā na umr bhar hī, iśhk kā rāstā
hai ye behisāb sā
jo tū na ho to ...