Mujh ko yaaron maaf karnaa, main nashe men hoon

मुझ को यारों माफ़ करना, मैं नशे में हूँ
Year
Language

ज़ाहिद शराब पीने दे मस्जिद में बैठकर
या वो जगह बता दे जहाँ पर खुदा न हो

मुझ को यारों माफ़ करना मैं नशे में हूँ
अब तो मुमकिन है बहकना मैं नशे में हूँ

कल की रात मिट रही है दर्द भी है कम
अब ज़रा आराम से आ जा रहा है दम
कम है अब दिल का तड़पना मैं नशे में हूँ

ढल चुकी है रात अब तो उठ गई महफ़िल
मैं कहाँ जाऊँ नहीं कोई मेरी मंज़िल
दो कदम मुश्क़िल है चलना मैं नशे में हूँ

है ज़रा सी बात और छलके है प्याले
पर न जाने क्‌या कहेंगे ये जहाँ वाले
तुम बस इतना याद रखना मैं नशे में हूँ

zāhid śharāb pīne de masjid meṅ baiṭhkar
yā vo jagah batā de jahāṇ par khudā na ho

mujh ko yāroṅ māf karnā maiṅ naśhe meṅ hūṇ
ab to mumkin hai bahaknā maiṅ naśhe meṅ hūṇ

kal kī rāt miṭ rahī hai dard bhī hai kam
ab zarā ārām se ā jā rahā hai dam
kam hai ab dil kā taṛapnā maiṅ naśhe meṅ hūṇ

ḍhal chukī hai rāt ab to uṭh gaī mahafil
maiṅ kahāṇ jāūṇ nahīṅ koī merī maṅzil
do kadam muśhqil hai chalnā maiṅ naśhe meṅ hūṇ

hai zarā sī bāt aur chhalke hai pyāle
par na jāne k‌yā kaheṅge ye jahāṇ vāle
tum bas itnā yād rakhnā maiṅ naśhe meṅ hūṇ