Muhabbat men kabhee aisee bhee

मुहब्बत में कभी ऐसी भी
Work
Year
Language

मुहब्बत में कभी ऐसी भी हालत पाई जाती है (2)
तबीयत और घबराती है जब बहलाई जाती है (2)

झिझक कर गुफ़्तगू करना है अपना राज़ कह देना (2)
इसी नाज़ुक सी पर्दे में (2) तमन्ना पाई जाती है
इसी नाज़ुक सी पर्दे में तमन्ना पाई जाती है
मुहब्बत में कभी ऐसी भी हालत पाई जाती है

मोहब्बत दिल में छुप सकती है आँखों में नहीं छुपती (2)
ज़बाँ खामोश है लेकिन (2) नज़र शरमाई जाती है
ज़बाँ खामोश है लेकिन नज़र शरमाई जाती है
मुहब्बत में कभी ऐसी भी हालत पाई जाती है
तबीयत और घबराती है जब बहलाई जाती है

muhabbat meṅ kabhī aisī bhī hālat pāī jātī hai (2)
tabīyat aur ghabrātī hai jab bahlāī jātī hai (2)

jhijhak kar guftgū karnā hai apnā rāz kah denā (2)
isī nāzuk sī parde meṅ (2) tamannā pāī jātī hai
isī nāzuk sī parde meṅ tamannā pāī jātī hai
muhabbat meṅ kabhī aisī bhī hālat pāī jātī hai

mohabbat dil meṅ chhup saktī hai āṇkhoṅ meṅ nahīṅ chhuptī (2)
zabāṇ khāmośh hai lekin (2) nazar śharmāī jātī hai
zabāṇ khāmośh hai lekin nazar śharmāī jātī hai
muhabbat meṅ kabhī aisī bhī hālat pāī jātī hai
tabīyat aur ghabrātī hai jab bahlāī jātī hai