Muhabbat men aise zamaane bhee aaye

मुहब्बत में ऐसे ज़माने भी आये
Work
Year
Language

मुहब्बत में ऐसे ज़माने भी आये
कभी रो दिये हम कभी मुस्कुराये

बनाया था इक आशियाँ दो दिलों ने
ज़माने की आँधी ने तिनके उड़ाये

मुहब्बत जो की है तो फ़रियाद न कर
मुहब्बत पे इलज़ाम आने न पाये

मुहब्बत की आँखों से अश्क़ों को चुनकर
किसी ने फ़लक पे सितारे सजाये

मुहब्बत में ऐसे ज़माने भी आये …

muhabbat meṅ aise zamāne bhī āye
kabhī ro diye ham kabhī muskurāye

banāyā thā ik āśhiyāṇ do diloṅ ne
zamāne kī āṇdhī ne tinke uṛāye

muhabbat jo kī hai to fariyād na kar
muhabbat pe ilazām āne na pāye

muhabbat kī āṇkhoṅ se aśhqoṅ ko chunkar
kisī ne falak pe sitāre sajāye

muhabbat meṅ aise zamāne bhī āye …