Muhabbat barhaa kar judaa ho gaye

मुहब्बत बढ़ा कर जुदा हो गये
Work
Year
Language

मुहब्बत बढ़ा कर जुदा हो गये
न सोचा न समझा ख़फ़ा हो गये
मुहब्बत बढ़ा कर …

वफ़ाओं का बदला सितम से दिया
सितम से दिया
घड़ी भर में तुम क्‌या से क्‌या हो गये
मुहब्बत बढ़ा कर …

ज़माने में किसको हम अपना कहे
हम अपना कहे
अरे जब तुम्हीं बेवफ़ा हो गये
मुहब्बत बढ़ा कर …

muhabbat baṛhā kar judā ho gaye
na sochā na samjhā khafā ho gaye
muhabbat baṛhā kar …

vafāoṅ kā badlā sitam se diyā
sitam se diyā
ghaṛī bhar meṅ tum k‌yā se k‌yā ho gaye
muhabbat baṛhā kar …

zamāne meṅ kisko ham apnā kahe
ham apnā kahe
are jab tumhīṅ bevafā ho gaye
muhabbat baṛhā kar …