मुहब्बत और वफ़ा की ... चन्दा का दिल टूट गया
मुहब्बत और वफ़ा की किस क़दर तौहीन की तूने
ग़ुनहगारी यह मासूमी के बदली मोल ली तूने
चन्दा का दिल टूट गया रोने लगे हैं सितारे
धरती का सीना काँप रहा है देख के ज़ुल्म तुम्हारे
झूठे प्यार का जाल बिछाया
भोला था पंछी जाल में आया
धोखेबाज़ ये मद के भरे यह ज़ालिम नयन तुम्हारे
चन्दा का दिल टूट …
माथे पे ज़ुल्म की बिन्दिया लगाई
हाथों में ख़ून की मेहंदी लगाई
तेरी पायलिया की छम-छम में क्या-क्या पाप पुकारे
चन्दा का दिल टूट …
जब तुझे दुनिया में लाया होगा
भगवान भी पछताया होगा
नेकी कभी न भूल के आई ज़ालिम तेरे द्वारे
चन्दा का दिल टूट …
muhabbat aur vafā kī kis qadar tauhīn kī tūne
ġhunahgārī yah māsūmī ke badlī mol lī tūne
chandā kā dil ṭūṭ gayā rone lage haiṅ sitāre
dhartī kā sīnā kāṇp rahā hai dekh ke zulm tumhāre
jhūṭhe pyār kā jāl bichhāyā
bholā thā paṅchhī jāl meṅ āyā
dhokhebāz ye mad ke bhare yah zālim nayan tumhāre
chandā kā dil ṭūṭ …
māthe pe zulm kī bindiyā lagāī
hāthoṅ meṅ khūn kī mehaṅdī lagāī
terī pāyliyā kī chham-chham meṅ kyā-kyā pāp pukāre
chandā kā dil ṭūṭ …
jab tujhe duniyā meṅ lāyā hogā
bhagvān bhī pachhtāyā hogā
nekī kabhī na bhūl ke āī zālim tere dvāre
chandā kā dil ṭūṭ …