Mubaarik sab ko phoolon kaa

मुबारिक सब को फूलों का
Year
Language

मुबारिक सब को फूलों का सजा कर लाए हैं सह्रा
हम अपने दिल के टुकड़ों का बना कर लाए हैं सह्रा

नज़र ग़िअरों से बढ़ कर पयार में अपनों की लगती है
हम अपनी भी निगाहों से बचा कर लाए हैं सह्रा
हम अपने दिल के टुकड़ों का बना कर लाए हैं सह्रा

उथर सर चढ़ के लग जाए गा सह्रा उनके सीने से
इथर हम अपने सीने से लगा कर लाए हैं सह्रा
हम अपने दिल के टुकड़ों का बना कर लाए हैं सह्रा

mubārik sab ko phūloṅ kā sajā kar lāe haiṅ sahrā
ham apne dil ke ṭukaṛoṅ kā banā kar lāe haiṅ sahrā

nazar ġhiaroṅ se baṛh kar payār meṅ apnoṅ kī lagtī hai
ham apnī bhī nigāhoṅ se bachā kar lāe haiṅ sahrā
ham apne dil ke ṭukaṛoṅ kā banā kar lāe haiṅ sahrā

uthar sar chaṛh ke lag jāe gā sahrā unke sīne se
ithar ham apne sīne se lagā kar lāe haiṅ sahrā
ham apne dil ke ṭukaṛoṅ kā banā kar lāe haiṅ sahrā