मोतियों की लड़ी हूँ मैं
फुलवा की छड़ी हूँ मैं
रे सुन्दर बड़ी हूँ मैं
दुनिया भुलाए अँखियाँ बिछाए
कब से खड़ी हूँ मैं -2
मोतियों की लड़ी …
बेचैन हूँ कितनी देर से
बैठा है तू निगाहें क्यों फेर के
ज़रा सा तो मुझे देख छेड़ के -2
मैं भड़क गई तो फिर आग ना बुझेगी
इक फुलझड़ी हूँ मैं
दुनिया भुलाए …
मैं कौन हूँ तेरी प्यास हूँ
हुस्न की मैं अदा एक ख़ास हूँ
आज क़िस्मत से मैं तेरे पास हूँ -2
मैं निकल गई तो फिर हाथ नहीं आऊँगी
ऐसी घड़ी हूँ मैं
दुनिया भुलाए …
motiyoṅ kī laṛī hūṇ maiṅ
phulvā kī chhaṛī hūṇ maiṅ
re sundar baṛī hūṇ maiṅ
duniyā bhulāe aṇkhiyāṇ bichhāe
kab se khaṛī hūṇ maiṅ -2
motiyoṅ kī laṛī …
bechain hūṇ kitnī der se
baiṭhā hai tū nigāheṅ kyoṅ pher ke
zarā sā to mujhe dekh chheṛ ke -2
maiṅ bhaṛak gaī to phir āg nā bujhegī
ik phuljhaṛī hūṇ maiṅ
duniyā bhulāe …
maiṅ kaun hūṇ terī pyās hūṇ
husn kī maiṅ adā ek khās hūṇ
āj qismat se maiṅ tere pās hūṇ -2
maiṅ nikal gaī to phir hāth nahīṅ āūṇgī
aisī ghaṛī hūṇ maiṅ
duniyā bhulāe …