Motee ho to baandh ke rakh loon pyaar chhupaaoon kaise

मोती हो तो बाँध के रख लूँ प्यार छुपाऊँ कैसे
Work
Year
Language

मोती हो तो बाँध के रख लूँ प्यार छुपाऊँ कैसे
वो चेहरा है हर चेहरे में उसे भुलाऊँ कैसे -3

चाँद नहीं फूल नहीं कोई नहीं उन सा हसीं -2
कौन हैं वो क्‌या नाम है उनका यहाँ बताऊँ कैसे
मोती हो तो बाँध के …

हो खोया हुआ है हर समाँ यार बिना सूना है जहाँ -2
नील गगन के चाँद को बाँहों में ले आऊँ कैसे
मोती हो तो बाँध के …

ओ हो चाहे जिन्हें मेरी नज़र हाय नहीं उनको ख़बर -2
बंद है मन्दिर का दरवाज़ा फूल चढ़ाऊँ कैसे
मोती हो तो बाँध के …

motī ho to bāṇdh ke rakh lūṇ pyār chhupāūṇ kaise
vo chehrā hai har chehre meṅ use bhulāūṇ kaise -3

chāṇd nahīṅ phūl nahīṅ koī nahīṅ un sā hasīṅ -2
kaun haiṅ vo k‌yā nām hai unkā yahāṇ batāūṇ kaise
motī ho to bāṇdh ke …

ho khoyā huā hai har samāṇ yār binā sūnā hai jahāṇ -2
nīl gagan ke chāṇd ko bāṇhoṅ meṅ le āūṇ kaise
motī ho to bāṇdh ke …

o ho chāhe jinheṅ merī nazar hāy nahīṅ unko khabar -2
baṅd hai mandir kā darvāzā phūl chaṛhāūṇ kaise
motī ho to bāṇdh ke …