Mohobbat hee naa jo samjhe vo jaalim pyaar kyaa jaane

मोहोब्बत ही ना जो समझे वो जालिम प्यार क्या जाने
Year
Language

मोहब्बत ही ना जो समझे, वो जालिम प्यार क्या जाने
निकलती दिल के तारों से, जो है झन्कार क्या जाने

उसे तो कत्ल करना और तड़पाना ही आता है
गला किस का कटा, क्यो कर कटा, तलवार क्या जाने

दवा से फ़ायदा होगा, के होगा जहर-ए-कातिल से
मर्ज़ की क्या दावा है, ये कोई बीमार क्या जाने

करो फ़रयाद, सर टकरावो, अपनी जान दे डालो
तड़पती दिल की हालत हुस्न की दीवार क्या जाने

mohabbat hī nā jo samjhe, vo jālim pyār kyā jāne
nikaltī dil ke tāroṅ se, jo hai jhankār kyā jāne

use to katl karnā aur taṛpānā hī ātā hai
galā kis kā kaṭā, kyo kar kaṭā, talvār kyā jāne

davā se fāydā hogā, ke hogā jahar-e-kātil se
marz kī kyā dāvā hai, ye koī bīmār kyā jāne

karo faryād, sar ṭakrāvo, apnī jān de ḍālo
taṛaptī dil kī hālat husn kī dīvār kyā jāne