Mohe bhool gaye saavreeyaan

मोहे भूल गये सावरीयाँ
Year
Language

जो मैं जानती,के प्रीत किये दुख होये
नगर ढिंढोरा पीटती, के प्रीत ना करीयो कोई

मोहे भूल गये सावरीयां, भूल गये सावरीयां
आवन कह गये, अजहू न आये
लीनी ना मोरी खबरीयां

दिल को दिये क्यों दुख बिरहाके
तोड़ दिया क्यों महल बना के
आस दिला के, ओ बेदर्दी, फेर ली काहे नज़रीयां
मोहे भूल गये सावरीयां

नैन कहे रो रो के सजना, देख चुके हम प्यार का सपना
प्रीत है झूठी, प्रीतम झूठा, झूठी है सारी नगरीयां
मोहे भूल गये सावरीयां

jo maiṅ jāntī,ke prīt kiye dukh hoye
nagar ḍhiṅḍhorā pīṭtī, ke prīt nā karīyo koī

mohe bhūl gaye sāvrīyāṅ, bhūl gaye sāvrīyāṅ
āvan kah gaye, ajhū na āye
līnī nā morī khabrīyāṅ

dil ko diye kyoṅ dukh birhāke
toṛ diyā kyoṅ mahal banā ke
ās dilā ke, o bedardī, pher lī kāhe nazrīyāṅ
mohe bhūl gaye sāvrīyāṅ

nain kahe ro ro ke sajnā, dekh chuke ham pyār kā sapnā
prīt hai jhūṭhī, prītam jhūṭhā, jhūṭhī hai sārī nagrīyāṅ
mohe bhūl gaye sāvrīyāṅ