Mohe bhool gae saanvriyaa

मोहे भूल गए साँवरिया
Year
Language

जो मैं ऐसा जानती
के प्रीत किये दुख होय
ओ, नगर ढिंढोरा पीटती
के प्रीत न करियो कोय

मोहे भूल गए साँवरिया, भूल गए साँवरिया -2
आवन कह गये, अजहुं न आये -2
लीनी न मोरी खबरिया
मोहे भूल गए…

(दिल को दिए क्‌यों दुख बिरहा के
तोड़ दिया क्‌यों महल बना के) -2
आस दिला के ओ बेदर्दी -2
फेर ली काहे नजरिया
मोहे भूल गए…

(नैन कहे रो-रो के सजना
देख चुके हम प्यार का सपना) -2
प्रीत है झूटी, प्रीतम झूटा -2
झूटी है सारी नगरिया
मोहे भूल गए…
% -- षशिख़न्त ज़ोशि उर्फ़ Pइन्तु डिवन

jo maiṅ aisā jāntī
ke prīt kiye dukh hoy
o, nagar ḍhiṅḍhorā pīṭtī
ke prīt na kariyo koy

mohe bhūl gae sāṇvriyā, bhūl gae sāṇvriyā -2
āvan kah gaye, ajhuṅ na āye -2
līnī na morī khabriyā
mohe bhūl gae…

(dil ko die k‌yoṅ dukh birhā ke
toṛ diyā k‌yoṅ mahal banā ke) -2
ās dilā ke o bedardī -2
pher lī kāhe najriyā
mohe bhūl gae…

(nain kahe ro-ro ke sajnā
dekh chuke ham pyār kā sapnā) -2
prīt hai jhūṭī, prītam jhūṭā -2
jhūṭī hai sārī nagriyā
mohe bhūl gae…
% -- ṣhaśhikhant zośhi urf Pintu ḍivn