Mohe aataa naheen hai chain

मोहे आता नहीं है चैन्
Work
Year
Language

मोहे आता नहीं है चैन
मोहे ला दे Table Fan
कि मौसम ग़रमी का

अभी से इतनी ग़रमी लागे
ना जाने क्‌या होगा आगे
मैं कैसे काटूँ दिन-रैन
मोहे ला दे …

हार गई मैं Lemon पी-पी
प्यास बुझी न फिर भी जी की
सुन ले मेरे बैन-बैन
मोहे ला दे …

डाल-डाल छू-मन्तर ऐसा डाल
Bombay बन जाए नैनीताल
फिर मिल जाएँगे नैन-नैन
मोहे ला दे …

mohe ātā nahīṅ hai chain
mohe lā de Table Fan
ki mausam ġharmī kā

abhī se itnī ġharmī lāge
nā jāne k‌yā hogā āge
maiṅ kaise kāṭūṇ din-rain
mohe lā de …

hār gaī maiṅ Lemon pī-pī
pyās bujhī na phir bhī jī kī
sun le mere bain-bain
mohe lā de …

ḍāl-ḍāl chhū-mantar aisā ḍāl
Bombay ban jāe nainītāl
phir mil jāeṇge nain-nain
mohe lā de …