Mohabbat kee raaho men chalnaa sanbhal ke

मोहब्बत की राहो में चलना संभल के
Year
Language

मोहब्बत की राहों में चलना संभल के
यहाँ जो भी आया, गया हाथ मल के

न पायी किसी ने, मोहब्बत की मंज़िल
कदम डगमगायें ज़रा दूर चल के

हमें ढूँढती हैं बहारों की दुनिया
कहाँ आ गये हम चमन से निकल के

कहीं टूट जाये न हसरत भरा दिल
न यूँ तीर फेंको निशाना बदल के

mohabbat kī rāhoṅ meṅ chalnā saṅbhal ke
yahāṇ jo bhī āyā, gayā hāth mal ke

na pāyī kisī ne, mohabbat kī maṅzil
kadam ḍagamgāyeṅ zarā dūr chal ke

hameṅ ḍhūṇḍhtī haiṅ bahāroṅ kī duniyā
kahāṇ ā gaye ham chaman se nikal ke

kahīṅ ṭūṭ jāye na hasrat bharā dil
na yūṇ tīr pheṅko niśhānā badal ke