Misl-e-khayaal aaye the aa kar chale gaye

मिस्ल-ए-ख़याल आये थे आ कर चले गये
Work
Year
Language

मिस्ल-ए-ख़याल आये थे आ कर चले गये
दुनिया हमारे ग़म की बसा कर चले गये

फूलों की आस जिन से लगाये हुए थे हम
कांटे वो रास्ते में बिछा कर चले गये

आई ना थी हमारे चमन में बहार भी
वो आग आशियाँ में लगा कर चले गये

भूले से भी कभी न जिन्हें हम भुला सके
दिल से हमें वो अपने भुला कर चले गये

misl-e-khayāl āye the ā kar chale gaye
duniyā hamāre ġham kī basā kar chale gaye

phūloṅ kī ās jin se lagāye hue the ham
kāṅṭe vo rāste meṅ bichhā kar chale gaye

āī nā thī hamāre chaman meṅ bahār bhī
vo āg āśhiyāṇ meṅ lagā kar chale gaye

bhūle se bhī kabhī na jinheṅ ham bhulā sake
dil se hameṅ vo apne bhulā kar chale gaye