मिलती है ज़िंदगी में मोहब्बत कभी-कभी
मिलती है ज़िंदगी में मोहब्बत कभी-कभी
होती है दिल्बरों की इनायत कभी-कभी
शर्मा के मुँह न फेर नज़र के सवाल पर
लाती है ऐसे मोड़ पर क़िस्मत कभी-कभी
खुलते नहीं हैं रोज़ दरिचे बहार के
आती है जान-ए-मन ये क़यामत कभी-कभी
तनहा न कट सकेंगे जवानी के रास्ते
पेश आएगी किसीकी ज़रूरत कभी-कभी
फिर खो न जाएं हम कहीं दुनिया की भीड़ में
मिलती है पास आने की मुहलत कभी-कभी
होती है दिल्बरों की इनायत कभी-कभी
मिलती है ज़िंदगी में मोहब्बत कभी कभी …
miltī hai ziṅdgī meṅ mohabbat kabhī-kabhī
hotī hai dilbroṅ kī ināyat kabhī-kabhī
śharmā ke muṇh na pher nazar ke savāl par
lātī hai aise moṛ par qismat kabhī-kabhī
khulte nahīṅ haiṅ roz dariche bahār ke
ātī hai jān-e-man ye qayāmat kabhī-kabhī
tanhā na kaṭ sakeṅge javānī ke rāste
peśh āegī kisīkī zarūrat kabhī-kabhī
phir kho na jāeṅ ham kahīṅ duniyā kī bhīṛ meṅ
miltī hai pās āne kī muhlat kabhī-kabhī
hotī hai dilbroṅ kī ināyat kabhī-kabhī
miltī hai ziṅdgī meṅ mohabbat kabhī kabhī …