Milte hee nazar unse dil aane ko k‌yaa kahie

मिलते ही नज़र उनसे दिल आने को क्‌या कहिए
Work
Year
Language

मिलते ही नज़र उनसे दिल आने को क्‌या कहिए
दिल हो गया दीवाना दीवाने को क्‌या कहिए

प्यार भरी बातें छिपती हैं छिपाने से
हर राज़ अफ़साना अफ़साने को क्‌या कहिए
मिलते ही नज़र उनसे …

लो वह भी मोहब्बत में दिन रात तड़पते हैं
जब शमा है परवाना परवाने को क्‌या कहिए
मिलते ही नज़र उनसे …

इक उमर तो दिल अपना पहलू में रहा अपने
अब हो गया बेगाना बेगाने को क्‌या कहिए
मिलते ही नज़र उनसे …

milte hī nazar unse dil āne ko k‌yā kahie
dil ho gayā dīvānā dīvāne ko k‌yā kahie

pyār bharī bāteṅ chhiptī haiṅ chhipāne se
har rāz afsānā afsāne ko k‌yā kahie
milte hī nazar unse …

lo vah bhī mohabbat meṅ din rāt taṛapte haiṅ
jab śhamā hai parvānā parvāne ko k‌yā kahie
milte hī nazar unse …

ik umar to dil apnā pahlū meṅ rahā apne
ab ho gayā begānā begāne ko k‌yā kahie
milte hī nazar unse …