Milne se pahle bichhar jaaen ham

मिलने से पहले बिछड़ जाएँ हम्
Work
Year
Language

मिलने से पहले बिछड़ जाएँ हम
क्‌यों बन के बिगड़ जाएँ भाग
हो आए जो कभी ख़ुशियों के पल
तो लग जाए क्‌यों ग़म की आग
मिलने से पहले …
मितवा ओ मितवा

सजना चले तुम तो उस देश की राह पर
जाके जहाँ से कोई आए ना फिर लौट कर
सूना हुआ जीवन सूना ये जीवन सफ़र
कैसे बिना तेरे बीतेगी ये उमर
कैसे जिए दुल्हन कोई बिछड़े वो जिसका सुहाग
मिलने से पहले …

मैने ये था समझा आए सवेरे नए
लेकिन ये अन्धेरे फिर साथ अब भी मेरे
जी भर रो ना पाई तुमको लगा के गले
होके यहाँ मेरे मेरे ना तुम हो सके
मिल के भी हम मिल न सके कैसा मिला हमको भाग
मिलने से पहले …

milne se pahle bichhaṛ jāeṇ ham
k‌yoṅ ban ke bigaṛ jāeṇ bhāg
ho āe jo kabhī khuśhiyoṅ ke pal
to lag jāe k‌yoṅ ġham kī āg
milne se pahle …
mitvā o mitvā

sajnā chale tum to us deśh kī rāh par
jāke jahāṇ se koī āe nā phir lauṭ kar
sūnā huā jīvan sūnā ye jīvan safar
kaise binā tere bītegī ye umar
kaise jie dulhan koī bichhaṛe vo jiskā suhāg
milne se pahle …

maine ye thā samjhā āe savere nae
lekin ye andhere phir sāth ab bhī mere
jī bhar ro nā pāī tumko lagā ke gale
hoke yahāṇ mere mere nā tum ho sake
mil ke bhī ham mil na sake kaisā milā hamko bhāg
milne se pahle …