Milne kee tum koshish karnaa ... vaadaa to toot jaataa hai

मिलने की तुम कोशिश करना ... वादा तो टूट जाता है
Year
Language

मिलने की तुम कोशिश करना वादा कभी न करना
वादा तो टूट जाता है
मिलने की तुम कोशिश …

जब भी तेरा जी चाहे तू पास मेरे आ जाना
मेरा प्यार बस तेरे लिए है तू न कभी घबराना
लेकिन सपनों में मिलने की कभी न कोशिश करना
सपना तो टूट जाता है

होती हैं बेदर्द बहुत ही इस दुनिया की रस्में
मुश्किल कर देती हैं निभाना प्यार वफ़ा की कसमें
शीशे जैसे अरमां लेकर राहों से न गुज़रना
शीशा तो टूट जाता है
मिलने की तुम कोशिश …

milne kī tum kośhiśh karnā vādā kabhī na karnā
vādā to ṭūṭ jātā hai
milne kī tum kośhiśh …

jab bhī terā jī chāhe tū pās mere ā jānā
merā pyār bas tere lie hai tū na kabhī ghabrānā
lekin sapnoṅ meṅ milne kī kabhī na kośhiśh karnā
sapnā to ṭūṭ jātā hai

hotī haiṅ bedard bahut hī is duniyā kī rasmeṅ
muśhkil kar detī haiṅ nibhānā pyār vafā kī kasmeṅ
śhīśhe jaise armāṅ lekar rāhoṅ se na guzarnā
śhīśhā to ṭūṭ jātā hai
milne kī tum kośhiśh …