मिले न फूल तो काँटों से दोस्ती कर ली
मिले न फूल तो काँटों से दोस्ती कर ली
इसी तरह से बसर हमने ज़िंदगी कर ली
अब आगे जो भी हो अंजाम, देखा जाएगा
ख़ुदा तलाश लिया और बंदगी कर ली
नज़र मिली भी न थी और उनको देख लिया
ज़बां खुली भी न थी और बात भी कर ली
वो जिनको प्यार है चांदी से, इश्क़ सोने से
वही कहेंगे कभी हमने ख़ुदकशी कर ली
mile na phūl to kāṇṭoṅ se dostī kar lī
isī tarah se basar hamne ziṅdgī kar lī
ab āge jo bhī ho aṅjām, dekhā jāegā
khudā talāśh liyā aur baṅdgī kar lī
nazar milī bhī na thī aur unko dekh liyā
zabāṅ khulī bhī na thī aur bāt bhī kar lī
vo jinko pyār hai chāṅdī se, iśhq sone se
vahī kaheṅge kabhī hamne khudakśhī kar lī