Meree yaad men tum naa aansoo bahaanaa

मेरी याद में तुम ना आंसू बहाना
Work
Year
Language

मेरी याद में तुम ना आँसू बहाना
न जी को जलाना, मुझे भूल जाना
समझना के था एक सपना सुहाना
वो गुज़रा जमाना, मुझे भूल जाना

जुदा मेरी मंज़िल, जुदा तेरी राहें
मिलेगी ना अब तेरी मेरी निगाहें
मुझे तेरी दुनिया से है दूर जाना
न जी को जलाना, मुझे भूल जाना

ये रो रो के कहता है टूटा हुआ दिल
नही हूँ मैं तेरी मोहब्बत के काबिल
मेरा नाम तक अपने लब पे ना लाना
न जी को जलाना, मुझे भूल जाना

merī yād meṅ tum nā āṇsū bahānā
na jī ko jalānā, mujhe bhūl jānā
samajhnā ke thā ek sapnā suhānā
vo guzrā jamānā, mujhe bhūl jānā

judā merī maṅzil, judā terī rāheṅ
milegī nā ab terī merī nigāheṅ
mujhe terī duniyā se hai dūr jānā
na jī ko jalānā, mujhe bhūl jānā

ye ro ro ke kahtā hai ṭūṭā huā dil
nahī hūṇ maiṅ terī mohabbat ke kābil
merā nām tak apne lab pe nā lānā
na jī ko jalānā, mujhe bhūl jānā