मेरी तक़दीर कहाँ पर ... राम करे कहीं नैना न उलझें
मेरी तक़दीर कहाँ पर मुझे ले आई है
सारी दुनिया मेरी उल्फ़त की तमाशाई है
इसलिए लाज का पर्दा है मेरे चेहरे पर
खुल गया राज़ तो इसमें तेरी रुसवाई है
राम करे कहीं नैना न उलझें -2
नैना जो उलझें तो मुश्किल से सुलझे
राम करे कहीं …
आए न जिस दिन घर साँवरिया पागल बनकर ढूँढे नजरिया
मोरी काया ऐसे तड़पे जैसे तड़पे जल बिन मछरिया
राम करे कहीं …
जिसके कारण सब कुछ छोड़ा उसने मेरे दिल को तोड़ा
हर तूफ़ाँ में साथ रहा वो आके किनारे मुखड़ा मोड़ा
राम करे कहीं …
merī taqdīr kahāṇ par mujhe le āī hai
sārī duniyā merī ulfat kī tamāśhāī hai
islie lāj kā pardā hai mere chehre par
khul gayā rāz to ismeṅ terī rusvāī hai
rām kare kahīṅ nainā na uljheṅ -2
nainā jo uljheṅ to muśhkil se suljhe
rām kare kahīṅ …
āe na jis din ghar sāṇvriyā pāgal bankar ḍhūṇḍhe najriyā
morī kāyā aise taṛpe jaise taṛpe jal bin machhriyā
rām kare kahīṅ …
jiske kāraṇ sab kuchh chhoṛā usne mere dil ko toṛā
har tūfāṇ meṅ sāth rahā vo āke kināre mukhaṛā moṛā
rām kare kahīṅ …