Meree raaton ke andhere men ujaale tum ho

मेरी रातों के अंधेरे में उजाले तुम हो
Work
Year
Language

मेरी रातों के अंधेरे में उजाले तुम हो
जिस पे सौ चाँद हैं क़ुरबान वो तारे तुम हो
मेरी रातों के …

जिस तरफ़ देखता हूँ तुम ही नज़र आते हो
जो निगाहों में बसे हैं वो नज़ारे तुम हो
जिस पे सौ चाँद हैं क़ुरबान …

दिल तो क्‌या चीज़ है अब जान भी है तुम पे निसार
जान-ओ-दिल से भी ज्यादा मुझे प्यारे तुम हो
जिस पे सौ चाँद हैं क़ुरबान …

merī rātoṅ ke aṅdhere meṅ ujāle tum ho
jis pe sau chāṇd haiṅ qurbān vo tāre tum ho
merī rātoṅ ke …

jis taraf dekhtā hūṇ tum hī nazar āte ho
jo nigāhoṅ meṅ base haiṅ vo nazāre tum ho
jis pe sau chāṇd haiṅ qurbān …

dil to k‌yā chīz hai ab jān bhī hai tum pe nisār
jān-o-dil se bhī jyādā mujhe pyāre tum ho
jis pe sau chāṇd haiṅ qurbān …