मेरी जाँ अपने आशिक़ को सताना किससे सीखा है
र: ( मेरी जाँ ) -3 अपने आशिक़ को सताना किससे सीखा है
जो तुम पर जान दे उसको मिटाना किससे सीखा है
आ: ( सुनो जी ) -3 पीछे-पीछे आना किससे सीखा है
मेरी गलियों के चक्कर लगाना किससे सीखा है
र: एक दिन मजनू मिला था मुझको पीपल गाँव में
हाथ पकड़ा और बिठाया मुझको ठण्डी छाँव में
भर के साँस वो बोला यार के पीछे रहो
मोम हो जाएगा पत्थर रोज़ जो मिलते रहो
( तुम्हारे घर के ) -3 चक्कर रोज़ लगाना उससे सीखा है -2
आ: सुनो जी
र: क्या
आ: सुनो जी …
एक दिन लैला मिली मुझको अमीनाबाद में
थामकर दामन वो बोली ग़ुम हो किसकी याद में -2
तुम भी आशिक़ को ख़ूब सताओ बात मेरी मान लो
झूठा आशिक़ सच्चा प्यार उसको जान लो
( क़सम से ) -3 आप जैसों को सताना उससे सीखा है
र: हाय मेरी जाँ …
ra: ( merī jāṇ ) -3 apne āśhiq ko satānā kisse sīkhā hai
jo tum par jān de usko miṭānā kisse sīkhā hai
ā: ( suno jī ) -3 pīchhe-pīchhe ānā kisse sīkhā hai
merī galiyoṅ ke chakkar lagānā kisse sīkhā hai
ra: ek din majnū milā thā mujhko pīpal gāṇv meṅ
hāth pakaṛā aur biṭhāyā mujhko ṭhaṇḍī chhāṇv meṅ
bhar ke sāṇs vo bolā yār ke pīchhe raho
mom ho jāegā patthar roz jo milte raho
( tumhāre ghar ke ) -3 chakkar roz lagānā usse sīkhā hai -2
ā: suno jī
ra: kyā
ā: suno jī …
ek din lailā milī mujhko amīnābād meṅ
thāmkar dāman vo bolī ġhum ho kiskī yād meṅ -2
tum bhī āśhiq ko khūb satāo bāt merī mān lo
jhūṭhā āśhiq sachchā pyār usko jān lo
( qasam se ) -3 āp jaisoṅ ko satānā usse sīkhā hai
ra: hāy merī jāṇ …