Meree duniyaa men aanaa na jaanaa kabhee phir sanam

मेरी दुनिया में आना न जाना कभी फिर सनम्
Work
Year
Language

मेरी दुनिया में आना न जाना कभी फिर सनम
मुझे अपना बनाना न जाना कभी फिर सनम

तेरे ख़्यालों में खोई रहूँ अब तो मैं शाम-ओ-सहर
तन्हा रहूँ या रहूँ भीड़ में ढूँढे तुझे ही नज़र
अब तेरे बिन दिल लगता नहीं मैं क्‌या करूँ
नज़रों में बसाना
न जाना कभी फिर सनम …

तेरे मेरे दर्मियां दिलरुबा अब प्यार ही प्यार हो
देखूँ फ़लक़ चाहे देखूँ ज़मीं
मरके न छूटे बाहें तेरी बता मैं क्‌या करूं
मेरी दुनिया में आना …

रब ने बनाई अपनी जोड़ी ये जोड़ी न जाए तोड़ी
इक जीवन क्‌या चाहें जितने जीवन जएं बीत
बदली है …

फूल सितारे रस्ते रही देते हैं सब मेरी गवाही
मेरी पायल के घुँघरू भी गाते हैं ये गीत
बदली है …

merī duniyā meṅ ānā na jānā kabhī phir sanam
mujhe apnā banānā na jānā kabhī phir sanam

tere khyāloṅ meṅ khoī rahūṇ ab to maiṅ śhām-o-sahar
tanhā rahūṇ yā rahūṇ bhīṛ meṅ ḍhūṇḍhe tujhe hī nazar
ab tere bin dil lagtā nahīṅ maiṅ k‌yā karūṇ
nazroṅ meṅ basānā
na jānā kabhī phir sanam …

tere mere darmiyāṅ dilrubā ab pyār hī pyār ho
dekhūṇ falaq chāhe dekhūṇ zamīṅ
marke na chhūṭe bāheṅ terī batā maiṅ k‌yā karūṅ
merī duniyā meṅ ānā …

rab ne banāī apnī joṛī ye joṛī na jāe toṛī
ik jīvan k‌yā chāheṅ jitne jīvan jaeṅ bīt
badlī hai …

phūl sitāre raste rahī dete haiṅ sab merī gavāhī
merī pāyal ke ghuṇghrū bhī gāte haiṅ ye gīt
badlī hai …