Meree duniyaa ko bahaaron se ... jaane tum kaun ho

मेरी दुनिया को बहारों से ... जाने तुम कौन हो
Year
Language

मेरी दुनिया को बहारों से सजाया तुमने
जाने तुम कौन हो -3
दिल के वीरानों को गुलज़ार बनाया तुमने
जाने तुम कौन हो -3

चल रहा था मैं अकेला कोई दमसाज़ न था
बात कहता किसे दिल की कोई हमराज़ न था
बनके हमराज़ भी ये राज़ छिपाया तुमने
जाने तुम कौन हो -3

कोई सपना तो नहीं हो जिसे अपना समझा
जान-ए-जाँ समझा जान-ए-तमन्ना समझा
सामने आ के भी परदा न हटाया तुमने -2
जाने तुम कौन हो -3

merī duniyā ko bahāroṅ se sajāyā tumne
jāne tum kaun ho -3
dil ke vīrānoṅ ko gulazār banāyā tumne
jāne tum kaun ho -3

chal rahā thā maiṅ akelā koī damsāz na thā
bāt kahtā kise dil kī koī hamrāz na thā
banke hamrāz bhī ye rāz chhipāyā tumne
jāne tum kaun ho -3

koī sapnā to nahīṅ ho jise apnā samjhā
jān-e-jāṇ samjhā jān-e-tamannā samjhā
sāmne ā ke bhī pardā na haṭāyā tumne -2
jāne tum kaun ho -3