मेरी आन भगवान कण कण से लड़ी है
( मेरी आन भगवान ) -2 कण कण से लड़ी है जो
तुझसे भी आज लड़ेगी
मेरी बात तुम्हें रखनी पड़ेगी
मेरी आन भगवान
देख अपनों का दुख जो छिपाओगे मुख
इससे आपस की रार बढ़ेगी
मेरी बात तुम्हें रखनी पड़ेगी
मेरी आन भगवान …
हमने तो सुना है बड़ों के मुख से
अपने बालकों से तुमको भी प्यार है
फिर क्यों भूलते हो सबके पिता
कुछ हमारा भी तुमपे अधिकार है
लड़खड़ाते हैं पाँव और देख रहे तुम
क्या ये नय्या भंवर में अड़ेगी
मेरी बात तुम्हें रखनी पड़ेगी
मेरी आन भगवान …
मेरी पलकों का तोड़ किनारा
लगी बहने आँसुओं की धारा
तेरी धरती बहेगी तेरा अम्बर बहेगा
बह जाएगा आसन तुम्हारा
मेरी सुन के भगवान जो दिया नहीं ध्यान
तो जबान मेरी ज़िद पे चढ़ेगी
मेरी बात तुम्हें रखनी पड़ेगी
मेरी आन भगवान …
( merī ān bhagvān ) -2 kaṇ kaṇ se laṛī hai jo
tujhse bhī āj laṛegī
merī bāt tumheṅ rakhnī paṛegī
merī ān bhagvān
dekh apnoṅ kā dukh jo chhipāoge mukh
isse āpas kī rār baṛhegī
merī bāt tumheṅ rakhnī paṛegī
merī ān bhagvān …
hamne to sunā hai baṛoṅ ke mukh se
apne bālkoṅ se tumko bhī pyār hai
phir kyoṅ bhūlte ho sabke pitā
kuchh hamārā bhī tumpe adhikār hai
laṛkhaṛāte haiṅ pāṇv aur dekh rahe tum
kyā ye nayyā bhaṅvar meṅ aṛegī
merī bāt tumheṅ rakhnī paṛegī
merī ān bhagvān …
merī palkoṅ kā toṛ kinārā
lagī bahne āṇsuoṅ kī dhārā
terī dhartī bahegī terā ambar bahegā
bah jāegā āsan tumhārā
merī sun ke bhagvān jo diyā nahīṅ dhyān
to jabān merī zid pe chaṛhegī
merī bāt tumheṅ rakhnī paṛegī
merī ān bhagvān …