Mere saamne vaalee khirkee men

मेरे सामने वाली खिड़की में
Work
Year
Language

मेरे सामने वाली खिड़की में
एक चांद का टुकड़ा रहता है
अफ़सोस ये है के वो हमसे
कुछ उखड़ा उखड़ा रहता है

जिस रोज़ से देखा है उसको
हम शमा जलाना भूल गए
दिल थाम के ऐसे बैठे हैं
कहीं आना जाना भूल गए
अब आठ पहर इन आँखों में
वो चंचल मुखड़ा रहता है

बरसात भी आकर चली गई
बादल भी गरज कर बरस गए
पर उसकी एक झलक को हम
ऐ हुस्न के मालिक तरस गए
कब प्यास बुझेगी आँखों की
दिन रात ये दुखड़ा रहता है

mere sāmne vālī khiṛkī meṅ
ek chāṅd kā ṭukaṛā rahtā hai
afsos ye hai ke vo hamse
kuchh ukhaṛā ukhaṛā rahtā hai

jis roz se dekhā hai usko
ham śhamā jalānā bhūl gae
dil thām ke aise baiṭhe haiṅ
kahīṅ ānā jānā bhūl gae
ab āṭh pahar in āṇkhoṅ meṅ
vo chaṅchal mukhaṛā rahtā hai

barsāt bhī ākar chalī gaī
bādal bhī garaj kar baras gae
par uskī ek jhalak ko ham
ai husn ke mālik taras gae
kab pyās bujhegī āṇkhoṅ kī
din rāt ye dukhaṛā rahtā hai