Mere naseeb men too hai ke naheen, tere naseeb men main hoon ke naheen

मेरे नसीब में तू है के नहीं, तेरे नसीब में मैं हूँ के नहीं
Work
Year
Language

मेरे नसीब में तू है के नहीं
तेरे नसीब में मैं हूँ के नहीं
ये हम क्या जाने, ये वो ही जाने
जिसने लिखा है सबका नसीब

एक दिन ख्वाब में वो मुझे मिल गया
देखकर जो मुझे फूल सा खिल गया
शर्मा गई मैं, घबरा गई मैं
कहने लगा वो आकर करीब

बात ये ख्वाब की सच मगर हो गई
नौजवां मैं तुझे देखकर खो गई
आँखे मिली हैं, दिल भी मिले हैं
देखे मिले कब अपने नसीब

हम कहीं फिर मिले एक हसीं रात में
बात ये आ गई फिर किसी बात में
अब के हुआ ये, मैने कहा ये
मुझको बता दे मेरे हबीब

mere nasīb meṅ tū hai ke nahīṅ
tere nasīb meṅ maiṅ hūṇ ke nahīṅ
ye ham kyā jāne, ye vo hī jāne
jisne likhā hai sabkā nasīb

ek din khvāb meṅ vo mujhe mil gayā
dekhkar jo mujhe phūl sā khil gayā
śharmā gaī maiṅ, ghabrā gaī maiṅ
kahne lagā vo ākar karīb

bāt ye khvāb kī sach magar ho gaī
naujvāṅ maiṅ tujhe dekhkar kho gaī
āṇkhe milī haiṅ, dil bhī mile haiṅ
dekhe mile kab apne nasīb

ham kahīṅ phir mile ek hasīṅ rāt meṅ
bāt ye ā gaī phir kisī bāt meṅ
ab ke huā ye, maine kahā ye
mujhko batā de mere habīb