Mere mundere naa bol

मेरे मुंडेरे ना बोल्
Work
Year
Language

मेरे मुंडेरे ना बोल, जा कागा, कागा जा

पथ्थर दिल परदेसी,
ना जाने क्‌या है पीर पराई
अपनी तो ये बात हुई है,
दिल भर आया आंख भर आई
सन्झ सवेरे मन यही बोले,
आ रे सजनवा आ
जा कागा, कागा जा
मेरे मुंडेरे ना बोल -

प्रीत की बाज़ि हारी हम ने
तोड़ दिया हम को अब ग़म ने
ओ परदेसी जानेवाले,
तेरा बिग्ड़ा क्‌या
जा कागा, कागा जा
मेरे मुंडेरे ना बोल -

mere muṅḍere nā bol, jā kāgā, kāgā jā

paththar dil pardesī,
nā jāne k‌yā hai pīr parāī
apnī to ye bāt huī hai,
dil bhar āyā āṅkh bhar āī
sanjh savere man yahī bole,
ā re sajanvā ā
jā kāgā, kāgā jā
mere muṅḍere nā bol -

prīt kī bāzi hārī ham ne
toṛ diyā ham ko ab ġham ne
o pardesī jānevāle,
terā bigṛā k‌yā
jā kāgā, kāgā jā
mere muṅḍere nā bol -