Mere man kaa baavraa panchhee kyon baar baar dole

मेरे मन का बावरा पंछी क्यों बार बार डोले
Work
Year
Language

मेरे मन का बावरा पंछी क्यों बार बार डोले
सपनों में आज किस का रह रह के प्यार डोले
किस के ख़याल में ये नज़रें झुकी झुकी हैं
देखो इधर भी लब पर आहें रुकी रुकी हैं
तुम हो क़रार जिस दिल का वो ही बेक़रार डोले
दिल को लगन है उसकी, मीठी नज़र है जिसकी
हम पास हैं तुम्हारे फिर दिल में याद है किसकी
तुम जो नज़र मिलाओ दिल में बहार डोले
कब से खड़े हुये हैं कह दो तो लौट जाये
तुम्हे दूर ही से देखें हरगिज ना पास आये
आँखों में ज़िंदगीभर तक तेरा इंतज़ार डोले

mere man kā bāvrā paṅchhī kyoṅ bār bār ḍole
sapnoṅ meṅ āj kis kā rah rah ke pyār ḍole
kis ke khayāl meṅ ye nazreṅ jhukī jhukī haiṅ
dekho idhar bhī lab par āheṅ rukī rukī haiṅ
tum ho qarār jis dil kā vo hī beqrār ḍole
dil ko lagan hai uskī, mīṭhī nazar hai jiskī
ham pās haiṅ tumhāre phir dil meṅ yād hai kiskī
tum jo nazar milāo dil meṅ bahār ḍole
kab se khaṛe huye haiṅ kah do to lauṭ jāye
tumhe dūr hī se dekheṅ hargij nā pās āye
āṇkhoṅ meṅ ziṅdgībhar tak terā iṅtazār ḍole