Mere dil pe andheraa saa chhaane lagaa

मेरे दिल पे अँधेरा सा छाने लगा
Year
Language

मेरे दिल पे अँधेरा सा छाने लगा
आप चेहरे से चिलमन हटा लीजिए -2
मेरे आगे ज़माना ये झुक जाएगा
आप अपनी निगाहें झुका लीजिए
मेरे दिल पे अँधेरा …

जान ले लो भले पर लगा लो गले
ये दूरी न हमसे सही जाएगी -2
हमपे जन्नत के दरवाज़े खुल जाएँगे
आप पहलू में अपने बिठा लीजिए
मेरे आगे ज़माना ये …

आपके दिल का ग़म दिल में रख लेंगे हम
और दावा करेंगे न एहसान का -2
आपका प्यार पाने के क़ाबिल हैं हम
आप चाहें अगर आज़मा लीजिए
मेरे आगे ज़माना ये …

एक रंग-ए-हया एक रंग-ए-वफ़ा
रंग दो आपकी दोनों आँखों में हैं -2
कैसे होते हैं दोनों जहाँ देख लूँ
आप पल भर को पलकें उठा लीजिए
मेरे आगे ज़माना ये …

mere dil pe aṇdherā sā chhāne lagā
āp chehre se chilman haṭā lījie -2
mere āge zamānā ye jhuk jāegā
āp apnī nigāheṅ jhukā lījie
mere dil pe aṇdherā …

jān le lo bhale par lagā lo gale
ye dūrī na hamse sahī jāegī -2
hampe jannat ke darvāze khul jāeṇge
āp pahlū meṅ apne biṭhā lījie
mere āge zamānā ye …

āpke dil kā ġham dil meṅ rakh leṅge ham
aur dāvā kareṅge na ehsān kā -2
āpkā pyār pāne ke qābil haiṅ ham
āp chāheṅ agar āzmā lījie
mere āge zamānā ye …

ek raṅg-e-hayā ek raṅg-e-vafā
raṅg do āpkī donoṅ āṇkhoṅ meṅ haiṅ -2
kaise hote haiṅ donoṅ jahāṇ dekh lūṇ
āp pal bhar ko palkeṅ uṭhā lījie
mere āge zamānā ye …