मेरे देश की धरती, सोना उगले उगले हीरे मोती
मेरे देश की धरती सोना उगले, उगले हीरे मोती
मेरे देश की धरती …
बैलों के गले में जब घुंघरू जीवन का राग सुनाते हैं
ग़म कोस दूर हो जाता है खुशियों के कंवल मुस्काते हैं
सुनके रहट की आवाज़ें यूँ लगे कहीं शहनाई बजे
आते ही मस्त बहारों के दुल्हन की तरह हर खेत सजे,
मेरे देश …
जब चलते हैं इस धरती पे हल ममता अंगड़ाइयाँ लेती है
क्यूँ ना पूजे इस माटी को जो जीवन का सुख देती है
इस धरती पे जिसने जनम लिया, उसने ही पाया प्यार तेरा
यहाँ अपना पराया कोई नहीं है सब पे है माँ उपकार तेरा,
मेरे देश …
ये बाग़ है गौतम नानक का खिलते हैं चमन के फूल यहाँ
गांधी, सुभाष, टैगोर, तिलक, ऐसे हैं अमन के फूल यहाँ
रंग हरा हरी सिंह नलवे से रंग लाल है लाल बहादुर से
रंग बना बसंती भगत सिंह रंग अमन का वीर जवाहर से,
मेरे देश …
mere deśh kī dhartī sonā ugle, ugle hīre motī
mere deśh kī dhartī …
bailoṅ ke gale meṅ jab ghuṅghrū jīvan kā rāg sunāte haiṅ
ġham kos dūr ho jātā hai khuśhiyoṅ ke kaṅval muskāte haiṅ
sunke rahaṭ kī āvāzeṅ yūṇ lage kahīṅ śhahnāī baje
āte hī mast bahāroṅ ke dulhan kī tarah har khet saje,
mere deśh …
jab chalte haiṅ is dhartī pe hal mamtā aṅgaṛāiyāṇ letī hai
kyūṇ nā pūje is māṭī ko jo jīvan kā sukh detī hai
is dhartī pe jisne janam liyā, usne hī pāyā pyār terā
yahāṇ apnā parāyā koī nahīṅ hai sab pe hai māṇ upkār terā,
mere deśh …
ye bāġh hai gautam nānak kā khilte haiṅ chaman ke phūl yahāṇ
gāṅdhī, subhāṣh, ṭaigor, tilak, aise haiṅ aman ke phūl yahāṇ
raṅg harā harī siṅh nalve se raṅg lāl hai lāl bahādur se
raṅg banā basaṅtī bhagat siṅh raṅg aman kā vīr javāhar se,
mere deśh …