Meraa pyaar haar gayaa haay re

मेरा प्यार हार गया हाय रे
Work
Year
Language

रो रही हैं हसरतें मिलना बहुत दुश्वार है
इस तरफ़ मैं उस तरफ़ तू दर्मियाँ दीवार है

मेरा प्यार हार गया हाय रे
माँगी ख़ुशी दुःख पाये रे
कोई कहाँ अब जाये रे
मेरा प्यार हार गया हाय रे

बरस रही हैं आँखों से
छम छम, बिन बादल बरसातें
ओझल हो गया चाँद नज़र से
नागिन बन गई रातें
हाय नागिन बन गई रातें
दिल बार बार घबराये रे
माँगी ख़ुशी दुःख पाये रे
कोई कहाँ अब जाये रे
मेरा प्यार हार गया हाय रे

बे-पर हूँ मैं पास तुम्हारे
कैसे उड़ कर जाऊँ
सर टकरा कर इस पिंजरे से
मैं ना कहीं मर जाऊँ
हाय मैं ना कहीं मर जाऊँ
रोयें नैन चैन नहीं आये रे
माँगी ख़ुशी दुःख पाये रे
कोई कहाँ अब जाये रे
मेरा प्यार हार गया हाय रे

ro rahī haiṅ hasarteṅ milnā bahut duśhvār hai
is taraf maiṅ us taraf tū darmiyāṇ dīvār hai

merā pyār hār gayā hāy re
māṇgī khuśhī duḥakh pāye re
koī kahāṇ ab jāye re
merā pyār hār gayā hāy re

baras rahī haiṅ āṇkhoṅ se
chham chham, bin bādal barsāteṅ
ojhal ho gayā chāṇd nazar se
nāgin ban gaī rāteṅ
hāy nāgin ban gaī rāteṅ
dil bār bār ghabrāye re
māṇgī khuśhī duḥakh pāye re
koī kahāṇ ab jāye re
merā pyār hār gayā hāy re

be-par hūṇ maiṅ pās tumhāre
kaise uṛ kar jāūṇ
sar ṭakrā kar is piṅjre se
maiṅ nā kahīṅ mar jāūṇ
hāy maiṅ nā kahīṅ mar jāūṇ
royeṅ nain chain nahīṅ āye re
māṇgī khuśhī duḥakh pāye re
koī kahāṇ ab jāye re
merā pyār hār gayā hāy re