Meraa man teraa pyaasaa, meraa man teraa

मेरा मन तेरा प्यासा, मेरा मन तेरा
Work
Year
Language

मेरा मन तेरा प्यासा, मेरा मन तेरा
पूरी कब होगी आशा, मेरा मन तेरा

जब से मैने देखा तुझे मेरा मन नहीं रहा, मेरा
दे दे अपना हाथ मेरे हाथों में क्‌या जाए, तेरा
अब तो न तोड़ो आशा, मेरा मन …

ज़िंदगी है मेरी इक दाँव, तू है हार-जीत, मारी
ऐसे वैसे कैसे भी तू खेल हमसे जैसे मर्ज़ी, तारी
कितनी है भोली आशा, मेरा मन …

पता नहीं कौन हूँ मैं, क्‌या हूँ और कहाँ मुझे, जाना
अपनी वो कहानी जो अंजानी हो के बन गई, फ़साना
जीवन क्‌या है, तमाशा, मेरा मन …

merā man terā pyāsā, merā man terā
pūrī kab hogī āśhā, merā man terā

jab se maine dekhā tujhe merā man nahīṅ rahā, merā
de de apnā hāth mere hāthoṅ meṅ k‌yā jāe, terā
ab to na toṛo āśhā, merā man …

ziṅdgī hai merī ik dāṇv, tū hai hār-jīt, mārī
aise vaise kaise bhī tū khel hamse jaise marzī, tārī
kitnī hai bholī āśhā, merā man …

patā nahīṅ kaun hūṇ maiṅ, k‌yā hūṇ aur kahāṇ mujhe, jānā
apnī vo kahānī jo aṅjānī ho ke ban gaī, fasānā
jīvan k‌yā hai, tamāśhā, merā man …