Meraa mahboob aaegaa khaaq men tujhe milaaegaa

मेरा महबूब आएगा खाक़ में तुझे मिलाएगा
Year
Language

ये लो ये लो ऐ ले ले आजा आ आ
मेरा महबूब आएगा खाक़ में तुझे मिलाएगा
मुहब्बत करने वालों को जुदा तू कर न पाएगा

मुहब्बत ऐसी आँधी है जो रोके से नहीं रुकती
किसी के सामने आए कभी उल्फ़त नहीं झुकती
तेरी औक़ात क्‌या है जो मुझे तू आजमाएगा
मेरा महबूब आएगा …

ज़मीं क्‌या आसमां तक भी मेरी आवाज़ आएगी
कोई दीवार दुनिया की उसे न रोक पाएगी
वो आ के तेरी हस्ती मिटाएगा तेरी बस्ती मिटाएगा
मेरा महबूब आएगा …

ye lo ye lo ai le le ājā ā ā
merā mahbūb āegā khāq meṅ tujhe milāegā
muhabbat karne vāloṅ ko judā tū kar na pāegā

muhabbat aisī āṇdhī hai jo roke se nahīṅ ruktī
kisī ke sāmne āe kabhī ulfat nahīṅ jhuktī
terī auqāt k‌yā hai jo mujhe tū ājmāegā
merā mahbūb āegā …

zamīṅ k‌yā āsmāṅ tak bhī merī āvāz āegī
koī dīvār duniyā kī use na rok pāegī
vo ā ke terī hastī miṭāegā terī bastī miṭāegā
merā mahbūb āegā …