Meraa kuchh saamaan tumhaare paas paraa hai

मेरा कुछ सामान तुम्हारे पास पड़ा है
Work
Year
Language

मेरा कुछ सामान तुम्हारे पास पड़ा है - 2
ओ ओ ओ ! सावन के कुछ भीगे भीगे दिन रखे हैं
और मेरे एक खत में लिपटी रात पड़ी है
वो रात भुला दो, मेरा वो सामान लौटा दो - 2
मेरा कुछ सामान तुम्हारे पास पड़ा है - 2

पतझड़ है कुछ … है ना ?
ओ ! पतझड़ में कुछ पत्तों के गिरने की आहट
कानों में एक बार पहन के लौट आई थी
पतझड़ की वो शाख अभी तक कांप रही है
वो शाख गिरा दो, मेरा वो सामान लौटा दो - 2

एक अकेली छतरी में जब आधे आधे भीग रहे थे - 2
आधे सूखे आधे गीले, सुखा तो मैं ले आयी थी
गीला मन शायद बिस्तर के पास पड़ा हो !
वो भिजवा दो, मेरा वो सामान लौटा दो

एक सौ सोला चांद कि रातें एक तुम्हारे कांधे का तिल - 2
गीली मेंहदी कि खुशबू, झुठ-मूठ के शिकवे कुछ
झूठ-मूठ के वादे सब याद करा दूँ
सब भिजवा दो, मेरा वो सामान लौटा दो - 2

एक इजाज़त दे दो बस, जब इसको दफ़नाऊँगी
मैं भी वहीं सो जाऊंगी
मैं भी वहीं सो जाऊंगी

merā kuchh sāmān tumhāre pās paṛā hai - 2
o o o ! sāvan ke kuchh bhīge bhīge din rakhe haiṅ
aur mere ek khat meṅ lipṭī rāt paṛī hai
vo rāt bhulā do, merā vo sāmān lauṭā do - 2
merā kuchh sāmān tumhāre pās paṛā hai - 2

patjhaṛ hai kuchh … hai nā ?
o ! patjhaṛ meṅ kuchh pattoṅ ke girne kī āhaṭ
kānoṅ meṅ ek bār pahan ke lauṭ āī thī
patjhaṛ kī vo śhākh abhī tak kāṅp rahī hai
vo śhākh girā do, merā vo sāmān lauṭā do - 2

ek akelī chhatrī meṅ jab ādhe ādhe bhīg rahe the - 2
ādhe sūkhe ādhe gīle, sukhā to maiṅ le āyī thī
gīlā man śhāyad bistar ke pās paṛā ho !
vo bhijvā do, merā vo sāmān lauṭā do

ek sau solā chāṅd ki rāteṅ ek tumhāre kāṅdhe kā til - 2
gīlī meṅhdī ki khuśhbū, jhuṭh-mūṭh ke śhikve kuchh
jhūṭh-mūṭh ke vāde sab yād karā dūṇ
sab bhijvā do, merā vo sāmān lauṭā do - 2

ek ijāzat de do bas, jab isko dafnāūṇgī
maiṅ bhī vahīṅ so jāūṅgī
maiṅ bhī vahīṅ so jāūṅgī