Meraa dil tere liye dharaktaa hai

मेरा दिल तेरे लिये धड़कता है
Work
Year
Language

मेरा दिल तेरे लिये धड़कता है, धड़कता है
देखूँ जो तुझे तो ये दिल, बहकता है, बहकता है

ज़रा पास आ तेरे लब चूम लूँ
मैं क्‌या चाहती हूँ मैं कैसे कहूँ
समेटो न बाहों में ये गोरा बदन
बुझेगी भला कैसे दिल की अगन
कोई शोला सीने में भड़कता है, भड़कता है
मेरा दिल तेरे लिये …

नया दर्द है ये तो नयी प्यास है
जवानी का पहला एहसास है
मुहब्बत का दिल पे नशा छा गया
कुछ भी हो जानम मज़ा आ गया
के अब दिल सम्भाले न, सम्भलता है, सम्भलता है
मेरा दिल तेरे लिये …

merā dil tere liye dhaṛaktā hai, dhaṛaktā hai
dekhūṇ jo tujhe to ye dil, bahaktā hai, bahaktā hai

zarā pās ā tere lab chūm lūṇ
maiṅ k‌yā chāhtī hūṇ maiṅ kaise kahūṇ
sameṭo na bāhoṅ meṅ ye gorā badan
bujhegī bhalā kaise dil kī agan
koī śholā sīne meṅ bhaṛaktā hai, bhaṛaktā hai
merā dil tere liye …

nayā dard hai ye to nayī pyās hai
javānī kā pahlā ehsās hai
muhabbat kā dil pe naśhā chhā gayā
kuchh bhī ho jānam mazā ā gayā
ke ab dil sambhāle na, sambhaltā hai, sambhaltā hai
merā dil tere liye …