मेहंदी लगी मेरे हाथ रे मेहंदी लगी मेरे हाथ
भूल जा इसको ए दिल ये तो सपनों की थी बात रे
मेहंदी लगी मेरे …
अनजाने में मैं बावरिया
लिख बैठी तेरे नाम उमरिया
निभ न सकेगी बात रे
मेहंदी लगी मेरे …
माँग भी उजड़ी दिल भी टूटा
मेहंदी का रंग भी निकला झूठा
अँसुअन से धोए हाथ रे
मेहंदी लगी मेरे …
उनकी गली का फेरा छोड़ा
आप ही अपने दिल को तोड़ा
बन गई ऐसी बात रे
मेहंदी लगी मेरे …
द्वार बजी थी जो शहनाई
वह शहनाई थी हरजाई
छोड़ गई मेरा हाथ रे
मेहंदी लगी मेरे …
mehaṅdī lagī mere hāth re mehaṅdī lagī mere hāth
bhūl jā isko e dil ye to sapnoṅ kī thī bāt re
mehaṅdī lagī mere …
anjāne meṅ maiṅ bāvriyā
likh baiṭhī tere nām umriyā
nibh na sakegī bāt re
mehaṅdī lagī mere …
māṇg bhī ujaṛī dil bhī ṭūṭā
mehaṅdī kā raṅg bhī niklā jhūṭhā
aṇsuan se dhoe hāth re
mehaṅdī lagī mere …
unkī galī kā pherā chhoṛā
āp hī apne dil ko toṛā
ban gaī aisī bāt re
mehaṅdī lagī mere …
dvār bajī thī jo śhahnāī
vah śhahnāī thī harjāī
chhoṛ gaī merā hāth re
mehaṅdī lagī mere …